Simat rahi hai chaandni mere ghar ke aangan mein
Aaj ki raat chiraaghon se kaho zara araam karein
Aamrood ke darakhat ka saya jhilmila raha hai sarshar ho kar
Ghiidhaunchion par rakhey huay paani ke ghade mehek uthay hain mahaul ke saath
Kuchh dooor par beri ka ooncha sa pedd aasmaan ko tak raha hai tamanna ki tarah
Kuuein ke paani mein chhaand apna aks dekh kar thithak gaya hai kuchh itraata hua
Kyaarian bhari paddii hain nashiili bele ki kaliyon se aarasta ho kar
Ye kaliyan khilney ko betaab , aapas mein sargoshiyan kar rahi hain
Khamoshi gungunaati hai, raat ki masst hawa jhijhak si jaati hai
Chaandni utri hai mere aangan mein, chiraaghon se kaho aaj wo araam karein
( By Ghazala M )