Main aksar apne saath hoti hoon
Kabhi subah ki sunehri kirno mein lehlahaati hui
Kabhi shaam ki mastt khunki mein gungunaati hui
Main aksar apne saath hoti hoon....
Waqt ke saath qadam milaati hui
Apne aap se khush, muskuraati hui....
Khud apne saath baithi hui
Kabhi ugtey huay sooraj ko
Kabhi udti hui chidiyon ko
Kabhi hanstey huay phoolon ko
Kabhi sharmaati hui ghaas ko
Kabhi paas aati hui titli ko
Kabhi doorr jaati hui ghataaon ko
Kabhi nikhre huay chaand ko
Kabhi behkey huay mausam ko
Apne dil mein apni aankhon se mehsoos kiya karti hoon
Unn ko wo kyon nahi dikhta
Jo mujh ko nazar aataa hai .......
Wo log jo kehtey hain ke
Apni tanhaai mein kahiin khoii si main rehti hoon
Kabhi subah ki sunehri kirno mein lehlahaati hui
Kabhi shaam ki mastt khunki mein gungunaati hui
Main aksar apne saath hoti hoon....
Waqt ke saath qadam milaati hui
Apne aap se khush, muskuraati hui....
Khud apne saath baithi hui
Kabhi ugtey huay sooraj ko
Kabhi udti hui chidiyon ko
Kabhi hanstey huay phoolon ko
Kabhi sharmaati hui ghaas ko
Kabhi paas aati hui titli ko
Kabhi doorr jaati hui ghataaon ko
Kabhi nikhre huay chaand ko
Kabhi behkey huay mausam ko
Apne dil mein apni aankhon se mehsoos kiya karti hoon
Unn ko wo kyon nahi dikhta
Jo mujh ko nazar aataa hai .......
Wo log jo kehtey hain ke
Apni tanhaai mein kahiin khoii si main rehti hoon