Monday, October 6, 2025

Hamaari KaniyaaN

Hamaari kahaaniyoN meiN hum kahaaN reh gaye ... 

NafrateiN aa gayiiN , siyaasat aa gayi , bhaddapan aa gayaa ... 
Hum kahaaN reh gaye ? 

Kya ye hamaari kahaaniyaN haiN ? Kya hum waaqai aaisey  haiN ? Agar jawaab "haaN" meiN miley to phir ye sochney ka muqaam hai ... 


Pehley ke kahaanikaar-shaaer apni kahaaniyoN meiN , apni shaaeri meiN mohabbat ke raNg daalna nahi bhoola kartey thay 
Manto huay ya PremchaNd , samaaj ki sachchaai bayaan kartey huay insaaniyat ka daaman nahi chhodtey thay 
Sharaafat ke dhaagoN meiN pirotey thay apney jazbaat 
Unn ki kahaaniyaN pardey par bhi huiiN agar to poorey khaandaan ke saath baith kar dekhtey huay koi jheNp nahi hoti thii ... 

Aaj to duniya bahot hi civilised ho gayi hai ...  to phir kahaaniyoN meiN wo adab-o-adaab kyoN nazar nahi aatey ... Hum badtamiiz honay meiN fakhar kyoN mehsoos kartey haiN ?