Aankhon se ojhal huay , dil se bhi door ho gaye hain
Kitney pakkey thay wo rishtey jo yun choor ho gaye hain
Ab nayi Mehfilein hain , naye log , naye rishtey hain
Zindgi mein roshni hai nayi , raastey puur-noor ho gaye hain
Maaili-maili si wo yaadein, meri aankhon ne unhein dho dalaaa
Khil uthi khwahisho'n ki dhanak , sajda e dil manzoor ho gaye hain
Maazi ki ummas mein jiiye jaatey thay khud apne hi dushman bann kar
Khol kar ghar ke kiivadon ko jo dekha hai to masroor ho gaye hain
Doooor jis din se huay khud se , bhool gaye thay andaaz e safar e zeest
Dil ki dhadkan ne jagaya to, khwaabon ke shaher zinda tabeer ho gaye hain
( By Ghazala M )

No comments:
Post a Comment