Subah to roz-marra jaisi hi hui thi
Aur subah ki meri thoda-aur-so-looN waali chaahat bhi rozana jaisi hi thi
Khidki ki jaali se chhanti hui dhoop aNdar rakhey money plant ke pattoN par waisi hi chamak daal rahi thi jaisey roz daalti hai
To phir aisa kyoN lag rahaa tha ke mausam koi romantic sa geet gaa rahaa hai ... jaise Gulmohar Neem ke saath batiya rahaa hai ... ππ³πππ
Shaaed raat koi pyaraa sa khwaab dekha hoga ...
Tabhi to ye undefined suhaana-suhaana sa ehsaas iss garmi meiN bhi mere khayaaloN ki canvas par bhiigey-bhiigey bhiiney-bhiiney gulaabi-basanti-harey-zaafraani raNgoN se gulkaari kar raha tha
Khwaab dekha bhi tha ke nahi ... π€ ...
Yaad nahi hai bhai π€
Lekin halki-halki taazgi waali feeling badi delicious thi , jo chaai ko thaNda hi nahi honay de rahi thi π
Kisi khwaab meiN titli ki tarah udti hui maiN ,
zindgi ke aaNgan meiN bedaar ho kar ,
bahot saari khoobsoorat taabeeroN ki khwaahish meiN subah se saNwarti rahi , nikharti rahi ... π
Chaai piiti rahi ... ππ☕☕☕
Phir raNgoN ki ek tasveer WhatsApp par meri ek dost ne mere saamney rakh di , aur kahaa bataao iss meiN kya dikh rahaa hai tum ko
Painting ke raNgoN meiN kho si gayi , kabhi kuchh nazar ataa , to kabhi kuchh chhup jataa ...
Chaai ke kai cup meri sochoN ko garma chukey haiN , kai baar wo ghazal bhi suun chuki hooN jis ke shaaer Google Bibi Ji bhi nahi bataa paayi haiN abhi tak ... !!!
Aur tabhi door bell bajti hai ...
Mere khwaaboN ki malika , meri kitchen helper khadi muskura rahi hai
πππ
Ek reluctant cook and a lazy home maker like me ke liye ye koi kam khoobsoorat taabeer nahi hai ek aisey khwaab ki jo abhi tak yaad bhi nahi ayaa hai ... πππππ
No comments:
Post a Comment