Friday, May 31, 2019

Bikhrey Rishte

Recently a cousin of my late mother lost his wife
He had migrated to the neighbouring "enemy" country many many years back and had taken a portion of my mom's life too with him
And indeed a slice of his life remained alive on this side too :-)

On either side of the border the cousins must ve most longingly relived the same stories over and over a thousand times and more ... because what he left back here was his bachpan and adolescence
And what he had taken away was a part of my mom's bachpan and adolescence

Although politicians on either side who created this sinful divide are free to show hostility or friendship to each other as per their moods and requirements , the common man cannot lay claim to such luxuries

Pakistan kya banaa rishtey aur Khaandaan sab buri tarah bikhar gaye ... Bachpan baNt gaye , jawaaniyaN alhadpana bhool gayiiN ... Budhapaa apne umar daraaz aaNsoo chhalkata rahaa ...

Kisi qaum ke rehber ne nahi socha ke ghar to phir bass jaatey haiN lekin ujdey huay log chaahey iss paar hoN ya uss paar adhoorey ho kar reh jaatey haiN ...

Kuchh idhar reh gaye kuchh udhar chaley gaye ... Aur duuriyoN ke shuruaati daur ke uss shadiid dard ki , uss adhooreypan ki dheere-dheere aadat si ho gayi

Zindgi ka safar chalta rahaa ... Chalta bhi rahey ga ... 😊

Lekin kabhi jab koi buzurg inn jhameloN se alwida kehta uss duniya meiN chalaa jataa hai , ki jahaaN koi bhed - bhaav nahi , tab baith kar kuchh der ko zaroor bachpan meiN suni apno ki kahaaniyaN bahot yaad aati haiN

Kya aisa bhi koi daur guzra hai ... Yaqeen karney ko dil chaahta hai ... Aur ye bhi ke kaash wo din waapis aa jaaeiN ...

Wo shaaerana guftgoo , wo laziiz sense of humour , wo baasmati chaawal ki mehek , wo tavey par siNkti rotiyoN ki soNdhi khushboo ...

wo chamakta paandaan , wo leheriye waale malmal ke dupatte , wo aaNgan meiN phaili lal mircheiN , Naani jin ka achaar banaati thiiN ...

wo anNgrez miyaN-biwi jo hamare nanihaal ki kothi ke ek portion meiN rehtey thay , wo aamrood ka bagh jo Naani ke chhajje se dikhaai deta tha , wo Neem ke ped meiN padaa jhoola ...

wo thaali-bhar gol gappe zeera-paani aur chatni , wo guava jelly ki khushboo jo aNgrez sahiba banayaa karti thiiN ...

Mummy ki generation ke saath ye aur naa jaaney aisi kitni hi dilnawaaz aur anmol yaadeiN bhi dafan hoti jaa rahi haiN 

Itney bikhar gaye haiN ... Log bhi , ghar - makaan bhi ... ke ab waapis puraani soorat bananaa naamumkin hi hai

Bass itna karam rahey ke kabhi phone par apne-apne zindgi ke tukde jodd kar khush ho sakeiN
Unn waqtoN ke mazaar par ek kamzor si shamaa jalaa kar apne guzrey buzurgoN ki yaadeiN raushan kar sakeiN
Unn bhooli-bisri mohabbatoN ke saaye meiN ghadi bhar aaNkheiN mooNd kar koi tazaa-dum khwaab kal ke waastey dekh sakeiN ...