Friday, July 30, 2021

Ye Ishq-Ishq Hai

दस हज़ार वर्षो तक तप के बाद ...

पार्वती उस हठी को पा लेती है जिसे पाना ज़िद के बिना संभव नही। 


उस उदासीनता और मौन को तोड़ देती है जिसे तोड़ना ज़िद के बिना संभव नही।


करोड़ो वर्षो तक उस हठी के साथ रहने की हठ ...

कौन ऐसे तन को चाहेगा जो सर्प गर्दन पे लपेटे हो और मन फक्कड़ी में लगा हो ... 


लेकिन प्रेम यही तो है 

तन और मन से परे ...

प्रेम में हठी हो जाना तप ही तो है। 


(Courtesy फ़ायक इन मूड) 

copied from Swati Tiwari 


To zaraa bhi taa'jub ki baat nahi ke log naa jaane kitne barsoN se prem ke iss adbhut swaroop ko poojtey chaley aa rahey haiN ...


🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐


Aur ab zaraa inn ki suniye ... ye poojaari haiN ... Ek shikwa kar rahaa , to doosra samjha rahaa hai ... keh rahe haiN ...  


“ Meri darkhwaast radd ho gayi SaaiN ... shaaed meri iltijaa meiN hi koi kami reh gayi ho ... warna deney walaa to bahot सख़ी ( kindhearted / magnanimous / charitable ) tha ... “


“Shaaed uss ki sakhaawat kisi aur ke liye ho ... kisi aur ke muqaddar meiN ho uss ki dariyadili ... “


“Kisi aur ka muqaddar ... ? “


“ Haan ... Mehboob auroN par meherbaan aur aashiq pe sitamgar hota hai ... aur aashiq umar bhar issi gumaan meiN reh jataa hai ke mehboob ki mehbubiyat sirf ussi ke muqaddar meiN hai “


“ Aap ko dekh kar ehsaas hota hai ke aap khud ek shadeed mohabbat ki aziyat se guzar chukey haiN ... warna kisi anjaan ko mohabbat ka aisa idraak kahaaN mila ... “


Copied from You Tube 


🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐


Aur ye ... 

insaan ki aarzooN - ChahatoN - ibaadatoN ki tamaam bechaainiyoN ko samet-ti hui Sahir ki ek line ... 

"Mann re tu kaahey naa dheer dharey ... "


🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐


Mohabbat har roop meiN insaan ko Khuda se rubaru karaati hai 

Wo kul Kaayanaat ka Maalik ...

Mohabbat meiN hi to nazar ataa hai 


Uss ki talaash wo kartey haiN jin ke dil mohabbat se naa-aashna hotey haiN 


Warna sach to ye hai ke ... 

"Dil ke ā.īne meiñ hai tasvīr-e-yāar 

jab zarā gardan jhukāa.ī dekh lī ... "


🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐🎊💝💐


And then there's the ultimate from Sahir Ludhianvi ... 


" Allah aur rasool ka farman ishq hai

yani hadiis ishq hai , Quran ishq hai

Gautum ka aur Masih ka arman ishq hai

ye kaaynaat jism hai aur jaan ishq hai

ishq sarmad ishq hi mansur hai

ishq Musa , ishq koh e tuur hai 

Khaak ko buut

Aur buut ko devta karta hai ishq

Inteha ye hai ke 

bande ko Khuda karta hai ishq ... "