Tuesday, August 11, 2020

Avtaars , Paighambers and the Common Man

 Migration of the people , planned ho ya spontaneous ho ( as in displacement due to natural or man made causes ) , is an unstoppable phenomenon ... and humans , unlike birds and animals , usually make permanent homes in their adopted land because whatever be the circumstances that lead to the shifting , the human being always nurtures an indefatigable hope to live a peaceful civilised life wherever they live

Indians have migrated to far off shores as have other races migrated to India 

Countless such exchanges have resulted in who we are in our here-n-now

Having said this , ek sachchaai ye bhi hai ke koi bhi ... insaan ho ya jaanwar ... apni comfort zone , apne log , apna watan khushi se nahi chhodta hai ... 

Partition of India was one of most painful traumatic and inhuman displacement of people in our recent history 

Uss waqt bhi jo log idhar se udhar gaye , ya udhar se idhar aaye , unhoN ne aisa kyoN karaa ... ?

Khud to aag nahi lagaayi hogi apne gharoN ko ... Na hi khud apni rozi-roti ke zariye barbaad karey hoNgey unn logoN ne !

To kaun thay wo log jiNhon ne aam insaan ki zindgiyaN iss bedardi se badal kar rakh diiN ?

HazaaroN maasoom logoN ko unn ki jadoN se ukhaad kar anjaani zamiinoN par le jaa kar patakh diya  ...

Partition of India 14/15 Aug 1947 ki raat ko achanak nahi ho gayi ... Angrez achanak naa aaye thay aur naa hi achaanak gaye ... Kyon itney violence aur nafrat ko hamaari iss sar zamiin par bhadkaatey rahey aNgrez ... Aur Partition karaa bhi to kis ke naam par ... ???

Bhagwaan aur Allah ke naam par baNt gayi ek aziim Mulk ki viraasat ... zinda insaano ke kaNdhoN par mazhab ki laash rakh di gayi ... aur farmaan jaari kar diya gayaa ke iss ko naa to dafnana hai aur naa hi jalanaa hai ... bass yuuN hi uthaye uthaye chaltey janaa hai ... laash chaahey kisi haal ki ho jaaye , kaNdhey se utaarna nahi hai 

Lekin sach to ye hai ke mazhab se kahiiN mazbuut  , zinda aur vibrant hamaarey local customs , language , diet and eating habits etc ki similarities haiN jo logoN ko ek doosrey ke saath baaNdh kar rakhtey haiN 

In a gathering of people from different countries I ll most certainly feel comfortable with an Indian instead of a Muslim ... still more with a woman than a man ... and closer still with someone from Uttar Pradesh ... 

Our democracy is 73 years old

It is not young any more 

In fact it has matured beautifully by now

And has started showing the signs of that maturity which many human bodies start showing at this age 

As we prepare to celebrate our Independence Day amidst a pandemic , will it not be proper to reflect and introspect a little more than ever before ... ?

From 1947 it's been a ceaseless and fruitful journey of learning ... learning to build and create a Sovereign Nation that will be accommodating , compassionate and modern ... A country that would be a model for people across the Planet hoping to live in a free and secure world 

So is that dream coming true ?

Jawaab deney meiN koi jaldi nahi kariye ... Aaj ke pakizah din meiN kuchh waqt nikaaliye ga ... sochney ke liye ... ye jo ho rahaa hai , waise kyoN ho rahaa hai ... 

Shaaed mohabbat ke avtaar Shri Krishna ( The God of Compassion , Tenderness and Love ) koi aman o mohabbat ka raasta dikha deiN ... 

Happy Janmaashtami Friends ... 😊

Independence Day greetings in advance 





No comments: