Tuesday, June 22, 2021

Sahir Lazawaal 💝

 Badi khushi hoti hai ye dekh kar ke Sahir Ludhianvi ko unn ki centenary year meiN itni mohabbat aur respect ke saath yaad karaa jaa rahaa hai 

 

Unn ke geet , unn ki love life , unn ki arrogance ... unn ki position of power when he could dictate his terms to producers / directors ... aur bhi bahot kuchh ... 

Like jis ko jitnaa yaad hai , aur jaisa yaad hai , wo sunaa rahaa hai 


All this is very interesting 

But I have a feeling ke kaafi saari baateiN word of mouth se hi phaili hoNgi and there is every possibility that ab jo kuchh hum tak pahoNch rahaa hai wo sab sach naa ho

Except for Javed Akhter I dont think anyone who speaks about Sahir Ludhianvi really knows him 


Like that video which came God knows from where and went viral on social media !!!

The voice and kalaam was apparently Sahir Ludhianvi's 

Batayaa gayaa ke ye "Main zindgi ka saath nibhata chalaa gayaa ... " ke unrecorded stanzas haiN


Then came Javed Saheb's tweet saying ke naa voice Sahir Ludhianvi ki hai aur naa hi wo poetry unn ki hai 


Tab phir kuchh chhaan-phatak kari gayi aur pataa ye chalaa ke Jaidev ji ki awaaz meiN ye kalaam Abdul Hameed Adam Saheb ka hai


So I ll skip the stories about his life and instead share the impact that his writing has had on my life


I strongly believe that Sahir Ludhianvi has now transcended beyond being a man or a poet / lyricist 

He is now a philosophy and a mindset ...  


And I discovered this mindset called Sahir much later in life when I read his anti war poetry on Facebook 


Ek aisi duniya jahaaN taaqat ka matlab show of muscle power hai , jahaaN har masaley ka solution violence and war batayaa jataa hai , wahaaN Sahir keh rahey haiN ke jung to khud hi ek masala hai bhai , ye masloN ka hal kya degi 


When I read Sahir's poetry I realized ke iss aadmi ka dil sirf insaaniyat ke liye dhadakta tha ... Unn ka maan-na tha ke har mazhab ka Khuda apney bandoN se ek hi baat keh rahaa hai ... ke bhaiyya insaan bann jaao ... 

Sahir ne ye msg apney ek geet meiN kuchh aisey dia hai :

" Tu Hindu baney ga naa Musalmaan baney ga insaan ki aulaad hai insaan baney ga " 


Also reminding his readers ... 

" Har ek daur kā maz.hab nayā ḳhudā laayā 

kareñ to ham bhī , magar kis ḳhudā kī baat kareñ"


And who forget the song "Sansaar se bhaagey phirtey ho ... " which is among the most honest and bebaak description of the humiliation of insaaniyat in the name of religion  


If his song "Aurat ne janam diya mardoN ko ... " shocked and frustrated my conscience , then there was " Wo subah kabhi to aaye gi ... " jahaaN Sahir hazaaroN mehnat-kash logoN ke khwaaboN ki tabiireiN talaash kar rahey thay 


When I heard "Dekh tere Bhagwaan ki haalat kya ho insaan ... " I was speechless for a while 

How could anyone be so blatantly and truthfully straight forward 


But then everyone is not Sahir Ludhianvi !!!


Sahir ki ek aur baat mujhe badi pyaari lagti hai

Jaisa ke Bhagvad Geeta meiN bhi kahaa gayaa hai ke karam kiye jaa , phal ki chinta mat kar , ussi andaaz meiN Sahir ne likha ... 

" Manaa ke iss zamiiN ko naa gulzaar kar sakey

Kuchh khaar kam to kar gaye guzrey jidhar se hum " 


Interestingly Sahir Ludhianvi ne apni shaaeri ke collection ki kitaab jab chhapvaai to uss ka naam “ TalkhiyaN “ rakha , lekin unn ki zindgi ki talkhiyoN ne uNheiN naa to revengeful banayaa ,  aur hi unhoN ne apne dil meiN nafratoN ko jagah di 

In fact unhoN ne to nafratoN ki duniya meiN pyaar ki bastiyaN basaaney baat kari hai 


He developed an intense courage to stand up for all the underprivileged people , and gave words to their dreams and aspirations 

“ ab koi gulshan naa ujdey ab watan azaad hai “ 

and 

" Aao ke koi khwaab buneiN kal ke waastey ... " 


Also earnest prayers for world peace 

“ Teri hai zamiin tera aasmaan tu badaa meherbaan tu bakhshish kar ... “


" Khuda e bartar teri zamiiN par zamiiN ki khaatir ye jung kyoN hai ... "


Ya phir ye ke “ Sab ko sanmati de Bhagwaan ... “ and "Balwaano ko de de gyaan ... "


Incidentally the first song I shared on Facebook was "Aap ki mehki hui zulf ko kehtey haiN ghataa ... " 

And from there began my journey of discovering Sahir Ludhianvi , the philosophy , the cult ... 


So geet unn ke mujhe bahot pehlay radio par mil gaye thay lekin Sahir mujhe dus saal pehley hi miley Facebook par


The songs that come to mind immediately when I think of the radio days from my childhood are 

"Mera sunder sapna ... " 

and 

" hum aap ki aankhon meiN iss dil ko basaa deiN to ... " 

So Sahir aur Geeta Dutt se ek lamba aur gehra nataa hai hamaraa 😊😊😊


I find this immensely fascinating that a man who has left nothing but his writings behind him is being celebrated and remembered by almost all sections of the society including people jinki zubaan Urdu yaa Hindi nahi bhi hai 


It is now upto us to introduce Sahir Ludhianvi's poetry to our children because that will be our best tribute to the man who has proved beyond doubt that there are few like him on this planet and even after more than sixty / seventy years or so , his writings continue to inspire and encourage human rights and anti war activists , and supporters of peace in homes and among communities and countries 


Koi to baat hogi jo har koi ek tukda Sahir ka apney hissey meiN kar lena chaahta hai ... Sahir beshak keh gaye hoN ke " maiN pal do pal ka shaaer hooN ... "  ... Lekin unhoN ne poorey tariiqe se ye ensure kar liya hai he will be remembered as " har ek pal ka shaaer ... "


Sahir lives on , and my journey , discovering him through his writings also continues ...

No comments: