Wednesday, October 20, 2021

Ye unn dino ki baat hai ...

 Some nostalgia ... 💝


Hamaarey bachpaney meiN , native place Shahjahanpur meiN generally gharoN meiN phones nahi hua kartey thay 


There used to be messengers who would take paighaams / invitations etc written or verbal from one household to another 

This was in the 1960s 


Lekin hamare Nana ke ghar par phone tha jo hum ne kabhi bajtey nahi suna 

Waise bhi it was kept in the men's section of the Kothi so we only got a glimpse of it once in a while 


Mummy bataati thiiN ke Miyan's ( my Nana , we used to call him Miyan ) trusted personal assistant was in charge of answering the phone calls 


To jab ghanti bajti thi and he used to go to get it , he would always say "aatey haiN " like one would say when someone knocks on your door 


Lekin phone to bajta rehta tha 

To wo naraaz se ho jaatey thay and would say ...

"Keh to diya hai ke aa rahey haiN ... Lekin suntey nahi haiN ... Bajaaye jaa rahey haiN ghantiyaN ... "

No comments: