Saturday, September 8, 2012

Chandni mein sharabor mera aangan

Simat rahi hai chaandni mere ghar ke aangan mein
Aaj ki raat chiraaghon se kaho zara araam karein

Aamrood ke darakhat ka saya jhilmila raha hai sarshar ho kar
Ghiidhaunchion par rakhey huay paani ke ghade mehek uthay hain mahaul ke saath

Kuchh dooor par beri ka  ooncha sa pedd  aasmaan ko tak raha hai tamanna ki tarah
Kuuein ke paani mein chhaand apna aks dekh kar thithak gaya hai kuchh itraata hua 

Kyaarian bhari paddii hain nashiili bele ki kaliyon se aarasta  ho kar
Ye kaliyan khilney ko betaab , aapas  mein sargoshiyan kar rahi hain

Khamoshi gungunaati hai,  raat ki masst hawa jhijhak si jaati hai
Chaandni utri hai mere aangan mein, chiraaghon se kaho aaj wo araam karein

( By Ghazala M )

No comments: