Monday, March 26, 2012

Mere saath hi rehna hoga...

Wo dil jis mein hai yaad teri, mere paas hai, mere paas rahega
Lekin wo waqt jo saath guzaara tha tere
Uss ko to guzarna hoga...

Wo jo baatein tum se hua karti thiin, sadaa yaad rahengi mujh ko
Haan! wo lamhe jo gawaah thay unn baato'n ke
Unn ko to guzarna hoga...

Wo jagah aaj bhi hai tum ne jahan baagh lagaaye thay kabhi
Par wo baharein jin ki wajah tum thay
Unn ko to guzarna hoga...

Zakhm teri judaai ka, teri yaad ka tazaa hai, rahega har dum
Kal se hua aaj, aaj ban jaaega kal, waqt rukta nahi
Uss ko to guzarna hoga...

Saath tere mera bachpan bhi gaya, ek khal'a-a chhod gaya
Dhoondhta kya hoon, na aayengey wo pal
Unn ko to guzarna hoga...

Laakh chaha ke dafan kar doon tere saath mein yaadein teri
Ye na ho paya magar, mere jeenay ka sahara hain ye
Inn ko mere saath hi rehna hoga........

(By Ghazala)

No comments: