Tuesday, May 9, 2023

Extraordinary is actualy ordinary

My children will remember that I used to sing "Naani teri morni ..." to put them to sleep 💤😴😊
( Maa kitna hi besura kyoN naa gaa rahi ho , bachchoN ko sureelaa hi lagta hoga 😉 !!! ) 
And when they grew a bit older they got to listen to a couple of "mere bachpan ke dilchasp qissey" as bed time stories 🤗😄😍

But we , as children never got to hear any bed time stories  
Lekin hamaari Amma would often take time out in the evenings to share stories , quotes and shaaeri with us ... 🙂 
In between normal conversations too her language used to be laced with wit and humour ... That most certainly came to her pretty effortlessly as a family trait 🙂

The stories she narrated to us were about ordinary human beings ... some real life , some folklore ... as I now realise , even the shaaeri that we heard from her in our growing up years was interspersed with thoughts that would infuse in us the ability to appreciate and respect everything ... living and non living ... that we come across in life 🙏

I remember some of them even now 🙂

Like this story from an imaginary place and time ...

Ek bahot ibaadat-guzaar shakhs apni biwi aur bachchoN ko chhod kar ghar se Khuda ki talaash meiN nikla ... taking with him what he thought were bare necessities of life for him : 
ek takiya , ek katora aur ek tasbeeh ... Bass itna hi !

Kuchh duur gayaa tha to uss ne dekha ek aadmi sar ke niichey haath ka takiya banaaye so raha tha 
Iss shakhs ne socha takiya bekaar hi layaa ... Faltu ka bojh ... Soya to aise bhi jaa sakta hai ... So takiya wahiiN chhod diya 

Aur aagey chalaa to dekhaa ek aadmi chullu se paani pii rahaa tha 
To iss shakhs ne katora bhi tyaag diya 
Faaltu ka ek bojh aur kam hua 

Khoob halka mehsoos kar rahaa tha 
Ab na takiya tha naa katora ... So kisi chiiz ki rakhwaali nahi karni padey gi aur ibaadat meiN dhyaan bhi nahi bhatkey ga 

Khoob khush ho kar din -raat ibaadat karta tha
Khoob tasbiheiN padhta tha 
Ek din uss ne do aurtoN ko baateiN kartey suna 
Gehri dosti lag rahi thi dono meiN aur wo kisi len-den ka hisaab kar rahi thiiN 
Kuchh der ki bahes ke baad ek boli ... 
"Chhod na ye ginti-vinti ... Thoda kam-zyadaa se kuchh faraq nahi padta ... Jan aapas meiN mohabbat hai to phir hisaab-kitaab kaisa ... !!!"

Ab to tasbeeh bhi bekaar lagney lagi
Jab dosti - yaari meiN hisaab-kitaab nahi hota to Khuda ki ibaadat meiN kaisi ginti ... kaisa hisaab ... !!!

Uss ne apne aas-paas hi issi duniya ke jhameloN ke biich Khuda ka nuur dekh liya tha 
Jaan liya tha ke Khuda apni har makhlooq , har takhliiq meiN basta hai

Uss ko khojney ki kya zaroorat hai wo to har pal hamaarey saamney rehta hai aur sachchi ibaadat Khuda ki banaayi duniya ko sajaney-saNwaarney meiN hi hai 

Ek dum se ussey apne ghar ka khayaal aa gayaa 
Uss ki biwi-bachche kaise reh rahey hoNgey ...
Kis haal meiN hoNgey 

... Aur wo waapis apne ghar ki taraf chal padaa  

Insaan ka janam jiina asaan nahi 
Kitna chhodeiN kitna pakdeiN iss duniya ko , issi kashmakash meiN subah se shaam ho jaati hai

💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕

Back then one may not have understood the philosophical connotations , but the moral of the story which was woven in how the situations were handled by the characters stayed back in one's impressionable mind , and it inadvertently keeps coming back , not just as nostalgia but many a time as guidance too 😊😊😊

I am so GRATEFUL that my mother NEVER told us the stories of KINGS and QUEENS
And FOREVER IN GRATITUDE that my father NEVER behaved like a KING in the house !!!

Happy Mother's Day to my parents in Heaven 
They could so expertly and adorably exchange roles 
I think all parents can 😊😊😊














No comments: