Saturday, May 27, 2023

 Subah to roz-marra jaisi hi hui thi 


Aur subah ki meri thoda-aur-so-looN waali chaahat bhi rozana jaisi hi thi 


Khidki ki jaali se chhanti hui dhoop aNdar rakhey money plant ke pattoN par waisi hi chamak daal rahi thi jaisey roz daalti hai 


To phir aisa kyoN lag rahaa tha ke mausam koi romantic sa geet gaa rahaa hai ... jaise Gulmohar Neem ke saath batiya rahaa hai ... πŸ’žπŸŒ³πŸ’žπŸ’πŸ’ž

Shaaed raat koi pyaraa sa khwaab dekha hoga ... 

Tabhi to ye undefined suhaana-suhaana sa ehsaas iss garmi meiN bhi mere khayaaloN ki canvas par bhiigey-bhiigey bhiiney-bhiiney gulaabi-basanti-harey-zaafraani raNgoN se gulkaari kar raha tha 


Khwaab dekha bhi tha ke nahi ... πŸ€” ... 

Yaad nahi hai bhai πŸ€—

Lekin halki-halki taazgi waali feeling badi delicious thi , jo chaai ko thaNda hi nahi honay de rahi thi 😍


Kisi khwaab meiN titli ki tarah udti hui maiN , 

zindgi ke aaNgan meiN bedaar ho kar , 

bahot saari khoobsoorat taabeeroN ki khwaahish meiN subah se saNwarti rahi , nikharti rahi ... πŸ’ƒ

Chaai piiti rahi ... πŸ˜„πŸ’–☕☕☕


Phir raNgoN ki ek tasveer WhatsApp par meri ek dost ne mere saamney rakh di , aur kahaa bataao iss meiN kya dikh rahaa hai tum ko 


Painting ke raNgoN meiN kho si gayi , kabhi kuchh nazar ataa , to kabhi kuchh chhup jataa ...

Chaai ke kai cup meri sochoN ko garma chukey haiN , kai baar wo ghazal bhi suun chuki hooN jis ke shaaer Google Bibi Ji bhi nahi bataa paayi haiN abhi tak ... !!!


Aur tabhi door bell bajti hai ... 

Mere khwaaboN ki malika , meri kitchen helper khadi muskura rahi hai 

😊😊😊


Ek reluctant cook and a lazy home maker like me ke liye ye koi kam khoobsoorat taabeer nahi hai ek aisey khwaab ki jo abhi tak yaad bhi nahi ayaa hai ... πŸ˜‰πŸ™πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„







No comments: